Skip to main content

Mile na phool to kaa.nto.n se dosti kar lee

Mile na phool to kaa.nto.n se dosti kar lee
kisii tarah se basar humne zindagii kar lee.

ab aage jo bhii ho anjaam dekhaa jaayega
Khuda talaash liyaa aur bandagii kar lee.

nazar milii bhii na thii aur unko dekh liyaa
zubaa.n khulii bhii na thii aur baat bhii kar lee.

wo jinko pyaar hai chaa.ndii se, ishq sone se
wahii kahe.nge kabhii humne khudkashii kar lee.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.