Skip to main content

Ya dil kii suno duniya waalo

Ya dil kii suno duniya waalo
ya mujhko abhi chup rehne do
mai.n gham ko khushii kaise keh duu.n
jo kehte hai.n unko kehne do.

ye phool chaman me.n kaisa khilaa
maali kii nazar me.n pyaar nahii.n
ha.nste huye kya kya dekh liyaa
ab behte hai.n aa.nsoo behne do.

ik khwaab khushii ka dekhaa nahii.n
dekhaa jo kabhii to bhool gaye
maa.ngaa huaa kuchh tum de na sake
jo tumne diyaa wo sehne do.

kya dard kisii ka lega koyii
itnaa to kisii me.n dard nahii.n
behte huye aa.nsoo aur bahe.n
ab aisii tasallii rehne do.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.