Sunaa karo meri jaaN in se un se afsaane

Sunaa karo meri jaaN in se un se afsaane 
sab ajnabii hai.n yahaaN kaun kis ko pehchaane. 

yahaaN se jald guzar jaao qaafile waalo.n 
hai.n meri pyaas ke phooNke huye ye veeraane. 

meri junoon-e-parastish se tang aa gaye log 
sunaa hai ba.nd kiye jaa rahe hai.n but-khaane. 

jahaaN se pichhale pahar koyii tashnaa-kaam uthaa 
wahii.n pe toRe hai.n yaaro.n ne aaj paimaane. 

bahaar aaye to mera salaam keh dena 
mujhe to aaj talab kar liya hai sehraa ne. 

sivaa hai huqm ki 'Kaifi' ko sang-saar karo 
maseehaa baithe hai.n chhup ke kahaaN Khudaa jaane.