Dile-naadaa.n ko sa.mbhaaluu.n to chale jaaiyega
ik zaraa hosh me.n aa luu.n to chale jaaiyega.
abhi raaho.n me.n a.ndhera hii a.ndhera hoga
aur a.ndhero.n me.n chhupaa koyii luteraa hoga
har taraf deep jalaa luu.n to chale jaaiyega.
jaan pehchaan, mulaaqaat huyi, khoob huaa
meri duniya me.n nayii baat huyi, khoob huaa
baat se baat banaa luu.n to chale jaaiyega.
rok luu.n aap ko dil me.n nahii.n armaa.n aise
meri duniya me.n kahaa.n aaye hai.n mehmaa.n aise
apnii duniya ko sajaa luu.n to chale jaaiyega.