Skip to main content

kaise manu'n ki zamane ki Khabar rakhati hai,

kaise manu'n ki zamane ki Khabar rakhati hai,
gardish-e-vaqt to sirf apani Khabar rakhati hai,
meri pairo'n ki thakan tum ruTh na jana mujh ko,
ek tu hee to mera raz-e-safar rakhati hai,
dosti teri daraKhto'n may havaye'n bhee nahee'n,
dushmani apane daraKhto'n may samar rakhati hai.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.