Skip to main content

is me.n ko_ii fareb to ai aasmaa.N nahii.n

is me.n ko_ii fareb to ai aasmaa.N nahii.n 
bijalii vahaa.N girii hai jahaa.N aashiyaa.N nahii.n 

sayyaad mai.n asiir kahuu.N kis se haal-e-dil 
sirf ek tuu hai vo bhii meraa ham-zubaa.N nahii.n 

tum ne diyaa hamaarii vafaao.n kaa kyaa javaab 
ye ham vahaa.N bataaye.Ngetum ko yahaa.N nahii.n 

sajde jo but-kade me.n kiye merii kyaa Khataa 
tum ne kabhii kahaa ye meraa aastaa.N nahii.n 

gum-karadaa raah kii miTTii na ho Kharaab 
gard us taraf u.Dii hai jidhar kaaravaa.n nahii.n 

kyuu.N shama-e-i.ntazaar bujhaate ho ai "Qamar" 
naale hain ye kisii ke sahar kii azaa.N nahii.n 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.