khawaboon ko tabir karna ata nahi



khawaboon ko tabir karna ata nahi 
main insaan hoon pyar karna ata nahi 

kuun maloom kartay ho hal-e-dil tahir 
is dil main itnay kantay ,dard bantna ata nahi 

zaroor koi hova hay ajj baikarar sahil 
is saihra main bhi chain ata nahi 

kya khalish hay jo samnay ati nahi 
chand too jaag mujhay sona ata nahi 

yai fakat zindagi ki baat hay dost 
har bhola bhatka yahan ata nahi.