Boond ban kay tapka hay pyaar maira

Boond ban kay tapka hay pyaar mera
sab nazara-e-sooz chup hain haira.n hain 

vo jo hijr tha jo visaal tha 
sab kachi divaaroon main raih gaye hain 

in fizaoon main goongti hay aavaaz payal ki 
na janay kin samatoon nay sun li hain yae ahain 

aaj paihli baar raat bhar jaga hoon main 
kuch khushi kay aisay gham milay hain 

soochta hoon phir say zindagi jee loon main 
par vo jatay jatay lamhay phir say laut aae hain.