Jab dard mein doobi huyi aanho.n ka dhuwa.n nikla


Jab dard mein doobi huyi aanho.n ka dhuwa.n nikla
Kashaana-e zalim pe woh barqe tapa.n nikla

Chehre se to wahshi tha woh paikare wahshat tha
Dar-asl farishta woh be san guma.n nikla

Gham apna bhulane ko pii li to bahot lekin
Seene ke jo andar tha woh dard kaha.n nikla

Woh chaak gariba.n tha firta tha jo awarah
Lekin sar-e-maqtal woh nerang jaha.n nikla

Main pii bhi na paya tha dekha ye ajab manzar
Zahid jise samjha tha wo peer-e-mogha.n nikla

Ejaz ne jis ghar pe pathrao kiya yaro
Uska hi woh larzidah sheeshe ka maka.n nikla