Kya batayein hum tumhein kya kya huwa

 Kya batayein hum tumhein kya kya huwa
Har khushi par gham ka hi dhoka huwa

Tang dasti hai mujhe par khema zan
Waqt hai khud waqt pe thahra huwa

Hai adakari reya ki tahniyat
Sach magar hai jhoot se sahma huwa

Har shajar mahfooz hai masroor hai
Khatma jab se qabile ka huwa

Kaali rato.n ka safar sannatgi
Har taraf har aadmi sahma huwa

Ghar hai apna ya hai koi khanqah
Bachpana har bachhe ka khoya huwa

Mere hisse ki khushi jati rahi
In dino.n Ejaz hai bikhra huwa