Skip to main content

bohat khush thi jab main mila tha ajj


bohat khush thi jab main mila tha ajj 
surkh rang ka joora pahnay baithi thi 

mathay pai tika lagaya hova tha us nay 
hathoon pai mahndi boohat saj rahi thi 

mujhay daikh.tay hi kuch khamoosh ho gae jaisay 
dil kay kisi konay main gham chupae baithi thi 

phir kahnay lagi kyun itna late aee ho 
main kya batata kay in kadmoon ko kya shikatyt thi 

nazroon nay is baitabi say daikha mujh ko 
vo kya janay in aankhon main us ki kitni kami thi 

khoosboo main jaysay ur rahi thi vo ajj 
par in fizaoon ko bhi us ki zaroorat thi 

us ki sahaili nay poocha mohabat hoi kabhi 
vo kya janay kay ajj mili manzil kho gae thi 

kuch bahana tabiyat kar kay main ghar loota 
koan janay is tasveer main band zaindagi thi. 

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng