Skip to main content

Mera Saawan Bhi Tum Ho, Meri Pyaas Bhi Tum Ho ♥

Mera Saawan Bhi Tum Ho, Meri Pyaas Bhi Tum Ho
Sehra Ki Baaho'n Main Chupi Aas Bhi Tum Ho


Tum Yun To Bahut Door Bahut Door Ho Mujh Se
Ehsaas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Ho


Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara
Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Ho♥ 


Kho Jaao To Veera'n Si Ho Jati Hain Raahein
Mil Jaao To Phir Jeeny Ka Ehsaas Bhi Tum Ho


Likhta Hun To Tum Hi Utartey Ho Qalam Se
Padhta Hun To Lehja Bhi Tum, Awaaz Bhi Tum Ho

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng