Skip to main content

Kabhi iss nagar tujhe dekhna,kabhi uss nagar tujhe dhooNdhna

Kabhi iss nagar tujhe dekhna,kabhi uss nagar tujhe dhooNdhna
kabhi raat bhar tujhe sochna,kabhi raat bhar tujhe dhooNdhna

mujhe jabaja teri justuju, tujhe dhooNdhta
hooN maiN ku-ba-ku
kahaN khul saka tere rubaru,mera iss qadar
tujhe dhooNdhna

mera khavaab tha ke khayaal thaa, woh urooj tha ke zawaal tha
kabhi farsh per tujhe dekhna ,kabhi arsh per tujhe dhooNdhna

teri yaad ayee tou rau diye, jo tu mil gaya tu
tujhe kho diya
mere silsilay bhi kuch ajeeb haiN, tujhe choRh ke tujhe dhooNdhna


meri nazar ka kamaal hai, ke meri nazar ka jamaal hai
tujhe shair shair maiN sochna, saray-baam-o-dar tujhe dhooNdhna.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng