Skip to main content

Ye haadsa hua h tujhe dekhne ke baad...

Ye haadsa hua h tujhe dekhne ke baad...
Dil mera kho gaya h tujhe dekhne ke baad....
Ab aa ke tere seher se wapas na jayenge..
Ye fesla kiya h tujhe dekhne ke baad...
Kehte the tujhko log masiha magar yaha...
Ek shaks mar gaya h tujhe dekhne ke baad...
Raato ko chonk jata hu aksar mein neend me...
Ye haal ho gaya h tujhe dekhne ke baad...
Palko ko ab jhapakne ki aadat nhi rahi..
Na jane kya hua h tujhe dekhne ke baad...
Surat kisi ki aankho me basti nhi meri...
Aisa bhi ho gaya h tujhe dekhne ke baad....
Na dil ko h karar na raato ko neend h....
Jeena nhi aata h tujhe dekhne kebaad....
Ab dil ko lagau mein ye himmat nhi rahi....
Dil toot sa gaya h tujhe dekhne ke baad...
Pehle to aankh se kabhi aansu nhi bahe...
Rona bhi aa gaya h tujhe dekhnebaad..
Tu khush h apni duniya me lekin yaha koi...
Tanha sa reh gaya a tujhe dekhne k baad..
Surat bhi lajawab h sirat bhi lajawab...
Dil mera keh raha h tujhe dekhneke baad...
Aa jaye agar maut to me chain se maru...
Meri zindagi saja h tujhe dekhne k baad
Tha shayri ka mujhko salikha nhi"hina"..
Ye sher keh diya h tujhe dekhne ke baad....
Tu na mile "fayaz" ko to koi gumnhi....
Sabkuch hi seh liya h tujhe dekhne ke baad..

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.