Skip to main content

Jo mila us ne mere dil ko khelona jana

Jo mila us ne mere dil ko khelona jana
Kheel k toor deya
Toor k choor deya
Hai yeh mera afsana

Main ne har dard ko sene se lagana chaha
Khud sitam sah k zamane ko hansana chaha
Phir bhi duniya hai khafa
Mera dil meri wafa
Koi nahi pahchana

Aankh main sare zamane ki khatakta hi raha
Dard_e_ awara ki mannde bhatakta hi raha
Urte patoon ki tara
Main to jis simt chala
Sath chala virana

Jo mila us ne mere dil ko khelona jana

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.