Skip to main content

Daagh e dil ye dil mujhe dhonay nahi deta....

Daagh e dil ye dil mujhe dhonay nahi deta....
Daulat tu apni koi b khonay nahi deta....


Hoti hai laakh ghum ki dawa neend b magr....
Hota hai aisa ghum b k sonay nahi deta.


Kyon na jale jigr milta hai tapaak se....
Tasvir b jiski main choonay nahi deta.


Ashko se izhar e ghum karte nahi kyo k....
Lihaaz e ehle chashm e nam ronay nahi deta.


Chahat si na chaah mili warna main tu ''Dosh''.....
Mar deta usko juda honay nahi deta.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.