Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2013

Daagh e dil ye dil mujhe dhonay nahi deta....

Daagh e dil ye dil mujhe dhonay nahi deta.... Daulat tu apni koi b khonay nahi deta.... Hoti hai laakh ghum ki dawa neend b magr.... Hota hai aisa ghum b k sonay nahi deta. Kyon na jale jigr milta hai tapaak se.... Tasvir b jiski main choonay nahi deta. Ashko se izhar e ghum karte nahi kyo k.... Lihaaz e ehle chashm e nam ronay nahi deta. Chahat si na chaah mili warna main tu ''Dosh''..... Mar deta usko juda honay nahi deta.

Jo mila us ne mere dil ko khelona jana

Jo mila us ne mere dil ko khelona jana Kheel k toor deya Toor k choor deya Hai yeh mera afsana Main ne har dard ko sene se lagana chaha Khud sitam sah k zamane ko hansana chaha Phir bhi duniya hai khafa Mera dil meri wafa Koi nahi pahchana Aankh main sare zamane ki khatakta hi raha Dard_e_ awara ki mannde bhatakta hi raha Urte patoon ki tara Main to jis simt chala Sath chala virana Jo mila us ne mere dil ko khelona jana

Galiyon mein kaisa shor tha,kyun bheer si maqtil mein thi

Galiyon mein kaisa shor tha,kyun bheer si maqtil mein thi Kia wasf us shair mein tha,kia baat us pagal mein thi Aisa sitam kia ho gaya,ek raahro tha,kho gaya Phir zindagi ki sham thi aur sham bhi jungle mein thi Ki kia hua,chalti rahi yeh lo magar jalti rahi Kia zor us andhi mein tha,kia taab us mashal mein thi Shola ba dil,aatish bajaan phirta raha woh be-amaan Warna saba zulfon mein thi,warna ghata kajal mein thi Tarsi hui ankhon mein,kin kin sahilon ke khwab thay Par kashti-e-umr-e-rawaan haalaat ki daldal mein thi Khil’att ne awaaze kasey,taane diye,fatwe jarre Woh sakht jaan hansta raha,go khud kushi pal pal mein thi Apni kasheed-e-jaan se hi peeta raha,jeeta raha Nasha kahan saghar mein tha,masti kahan bottle mein thi

Mujhe na saans aati hai,

Mujhe na saans aati hai, na mera dum nikalta hai, magar ye beech ka alam bohat takleef deta hai. mujhe andar nigalta hai, na sahil per patakhta hai, bipherna yun samander ka bohat takleef deta hai. jo tum bolo bikher jain, jo tum chaho sanwar jain, mager yun tootna jurrna bohat takleef deta hai. gila ab kia karain tum se, nahi kuch ...bhi nahi tum se, yaqeen jano k ye sub kuch bohat takleef deta hai...

Sakoot-E-Jaan Ka Matlab Bata Do Phir Chale Jaana

Mohabbat Bolti Hai

Eik Shakhs Raat phir Meri Hasti pe Chaa gya

Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan

UmeedWar

Meri Ghaltiyon Ko Chuna Karo

insaan nazar aata hai

Kyun Mujh Say Gurezan Ho Mujhay Saaf Bata Do