Skip to main content

Mujhe na saans aati hai,

Mujhe na saans aati hai,
na mera dum nikalta hai,

magar ye beech ka alam
bohat takleef deta hai.

mujhe andar nigalta hai,
na sahil per patakhta hai,

bipherna yun samander ka
bohat takleef deta hai.

jo tum bolo bikher jain,
jo tum chaho sanwar jain,

mager yun tootna jurrna
bohat takleef deta hai.

gila ab kia karain tum se,
nahi kuch ...bhi nahi tum se,

yaqeen jano k ye sub kuch
bohat takleef deta hai...

Popular posts from this blog

Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai

HAZRAT ABBAS (A.S) Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Sab kehne ki baataian hai falaq hai na zameen hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hain Zakhmi hai magar kerbala kitni haseen hai Jannat kahian duniya mein agar hai to yahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Utna he yaqeen hai teri imdad ka muj ko Jitna mujy zehra ki duaoon ka yaqeen Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Kyon medhat-e-abbas mein luqnat hai zaban ko Daikhoo kahian mehfil mein sakina to nahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Kab maskh chedi yaad hai abbas ko lakin Kab kat gae shaane ye unhian yaad nahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Humrah-e-imam ayain gian abbas bhi aik din Is baat ka her toote hue dil ko yaqeen hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen Zakhmi hai magar kerbala kitni haseen hai Jannat kahian duniya mein agar hai to yahian hai

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi,

Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi,  Mere Aalfaaz main dhalti teri soorat hi rahi,  ...Zehen kehta tha teri shakl bhula kar rakh dun,  Par mere dil ko sada mujh se baghawat hi rahi,  Dushman-e-jan bhi mujhe jan se mehboob raha,  Teri ulfat ki mere dil pe hakomat hi rahi, Yun to jo chaha zamane me mila mujh ko Phir bhi aa dekh mujhe teri zaorat hi rahi...