Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai

Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
 Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
 Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai

Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
 Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai

Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
 Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai

Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
 Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
 In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
 Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai