Anjani yaadon mein khoya raha raat bhar

Anjani yaadon mein khoya raha raat bhar
Ek ajnabi sa chera meray dehaan mein tha

Woh khushboo tuo bin batlaye hee laut gayee thi
Jis ka zikr kal shab saray gulistaan mein tha

Mera pyaar khuwab ban jaye ga ek din
 Yeh phelay say hee meray gumaan mein tha

Yaad aata hai jab kabhi tuo tarapta hai dil jo
Aazaab shamil vesaal e hijr kay toofan mein tha

Jal jal kay ho chuka hai fana aab tuo woh
Diya jo roshan kabhi mera beya-baan mein tha

Aaj bhi detay hain apne ausi ka tana mujeh ko
Jo nuks meray es dil e nadaan mein tha

Musafaton kay baad jo khula samaan tuo kia deikha
 Ek ajnabi sa khat meray samaan mein tha

Wohi maan mein basa tha sukoon ban kar
 jo dil tha kabhi meri jaan mein tha

roshan kar kay beitha tha har raat meri jo
 roshni ki tarhan woh taron kay shabistaan mein tha

jis ki talaash mein din raat laga daye hum nay
woh bheroopia aakhir meray hee makkan mein tha