Raah se apnee hata do to maza aajayae

Raah se apnee hata do to maza aajayae
 tum hamei.n zehar pila do to maza aa jaaye

Ham pe skta sa hai tari me'ri jaN kab se
 Tum kisi tarah rula do to maza aajayae

Qabil e zikr to ausaf nahiN haiN mere
 KhubiyaN phir bhi gina do to maza aajayae

Jo tasavvur hai tumhara rag e jaaN maiN meri
 Us ko tasveer bana do to maza aajayae

Hai yahaN kon kisi ka bhari dunya maiN
 Tum kabhi aa ke bata do to maza aajayae

Jis ko thukraya hai apnoN ne kabhi ghairoN ne
 Khud usay apna bana do to maza aajayae

Aan bethe haiN jo mehfil maiN raqeeb in ko
 Apni mehfil se uthaa do to maza aajayae

Badah khwari ka na tha shouq kabhi bhi mujhko
 Jaam vahdat ka peela do to maza aajayae

Raas aati nahin tariq fiza mujh ko 'Samad
 Tum jo zulmat ko ziya do to maza aajayae