mujhay na hosla do ab mujhay nakaam rehnay do

mujhay na hosla do ab mujhay nakaam rehnay do
Nahi dil may sahar to zindagi may shaam rehnay do

Kiya be-aasra osne akela chor kar mujh ko
Meray lub pe tum ab oss bewafa ka naam rehnay do

Mujhay adat see hay chup chaap sa rehta hon may aksar
Mujhay penay do meray hath may bus jaam rehnay do

Khizaan k mosmoon ko ab baharon ka chaman likhna
Baharon k chaman ko ab khizaan k naam rehnay do

K dil k faislay per zindagi nakaam see thehri
Hoa budnaam ye dil ab isay budnaam rehnay do

Agar jo ho sakay mumkin to khud ko bhi saza dena
Agar ho bewafa to khud pe bhi ilzaam rehnay do

Mita k apni hasti ko khudi may he magan rehna
Jo zinda ho to na koi adhora kaam rehnay do

Likho aisi ghazal un bewafaon k liay Munir
Tum apnay aap ko bhi shyron may aam rehnay do