Milnay ka jhoota iqrar kiya us ne

Milnay ka jhoota iqrar kiya us ne
 Chahat ka be naam izhar kiya us ne

Raahain tak tak mere naina haar gye
 Vadon ka jhoota bevpaar kiya us ne

Aate hain , ham tum se milne jaan abhi !
 Nahaq dil bekal har baar kiya us ne

Raahain bhi khamosh dikhaayi daiti hain
 Milnay ka vada be kaar kiya us ne

Jaane kiyun milne na sanam aaya mujh se?
 Mun ki umangon se bezar kiya us ne

Waqat bhi mujh se aaj yaqinan sehmat hy
 Prem vachan se aaj inkaar kiya us ne

Ham se waqif thi to bus teri chahat
 Aankhon ko ashkon se baar kiya us ne

Dil ki qadro qimat se anjaan hay wo
 Dil se khail k dil bimaar kiya us ne

Ham to Shaikh ji dard k sahil par baithe
 Laikin dard ka darya paar kiya us ne