Aisi odas shaam ho

Aisi odas shaam ho
jo zindagi k naam ho

wo zindagi hay tu magar
tujhay hui na ye khabar

k tune aisa kr dia
meray he dil may ghar kia

mujhay dewana kr dia
yoon bekhudi may bhar dia

may chahta hoon ye magar
tujhay bhi ab gumaan ho

tu ae mujhse pochnay
ye zindagi tamam ho