gA'ye mausam maiN jo khiltay thay gulaboN ki t'rah

gA'ye mausam maiN jo khiltay thay gulaboN ki t'rah
 dil pe uthreNgaiN wahi khwab azaboN ki t'rah

raakh ke dhaiR pe ab raat basR kerni hai
 jal chukay haiN m're khemay, m're khwaboN ki t'rah

saa'at-e- deed ke aariz haiN gulaabi ab tak
 awwaleeN lamhoN ke gulnaaR hijaboN ki t'rah

woh samandar hai tho phir rooh ko shadaab karay
 tashNgee kioN muje deta hai saraboN ki t'rah

ghaiR mumkin hai t're ghar ke gulaboN ka shumaaR
 meray ristay hovay zakhmoN ke hisaboN ki t'rah

yaad tho hoNgi woh bataiN tuje ab bhi lekin
 shelf maiN rakkhi hovi baNd kitaboN ki t'rah

kon janay ke naye saaL maiN thoo kis ko parray
 t'ra myaaR badaltaa hai nisaboN ki t'rah

shokh ho jati hai ab bhi tri aNkhoN ki chamak
 gaahay gaahay, t're dilchasp jawaboN ki tarah

hijR ki shab , m'rii tanhayii pe dastak de gi
 teri khusboo , m'ray khoye hovay khwaboN ki t'rah