Ajeeb karb mein guzri, jahan jahan guzri,

Ajeeb karb mein guzri, jahan jahan guzri,
Agar'chay chahnay walon k darmyan guzri,

tamam umr jalatay rahay charagh-e-umeed,
tamam umr umeedon k darmiyaan guzri,

Guzar gayi jo tere sath, yaad'gaar huyi,
Tere baghair jo guzri, Bala-e-jaan guzri,

Mujhe sukoon moyassar nahi to kia gham hay,
Gulon ki umr to kaanton k darmiyaan guzri,

Ajeeb cheez hay ye Gardish-e-Zamana bhi,
Kabhi Zameen pay, Kabhi Misl-e-aasman Guzri.