Aaj Gumsum Hay Barbaad Jazeeron Jaisi


 Aaj Gumsum Hay Barbaad Jazeeron Jaisi
Uski Aankhon Main Chamak Thi Kabhi Heeron Jesi


Kitnay Maghroor Paharon K Badan Chaak Howay
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hoi Teeron Jaisi


Jiski Yaadon Say Khayalon K Khazanay Dekhe
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jesi


Chaahtain Lab Pe, Machalti Larki Ki Tarhan
Hasratain Ankh Main Zindaan K Aseeron Jesi


Hum Anna Parast, Tang Dast Bohat Hain Mohsin
Yeh Alag Baat K Aadat Hay Ameeron Jesi