de kar gham e judai wo janey kidhar gaya
barpa qayamatain jo merey dil pe kar gaya
jatey huwe wo le k dua ka asar gaya
mujhko gham e hayat se baighana kar gaya
daikha jo soo e Taj mehal dil ne ye kaha
fun zinda reh gaya magar funkar mar gaya
kya yaad kar sakega yaha'n par mujhey koi
shiraza meri hasti ka jiss din bikhar gaya
phir aaj dhundhti hai usey ye nigah e shauk
daikhey jisey sanam, zamana guzar gaya
