Wohi GarDeSheN Wohi Pache-O-Khum Taray Baad Bi

Wohi GarDeSheN Wohi Pache-O-Khum Taray Baad Bi
Wohi Hoslay Maray Dam Ba Dam Taray Baad Bi

Taray Saath Bi Mari Her Jafa Mujha Mohtaber
Taray Saray Ghum Mujha Mohtaram Taray Baad Bi

Taray Gham Se Hai Meri Har Khusi Main Waqar Sa
Maray Haal Pay Hain Taray Karam Taray Baad Bi

Barhay Muztarib Maray Rastay Taray Baad Bi
Barhay Pur Sukoon Hain Maray Qadam Taray Baad Bi

Taray Saath Bi Mari Her Khusi Tari Muntazir
Tari Muntazir Meri Chasam-A-Ghum Taray Baad Bi

Taray Saath Thi Mari Dastrus Main Jo Roshani
Fakat Ek Pal Kabi Subha-A-Dum Taray Baad Bi

Tujha Jaan-A-Ghum Jo Kaha Kabi To Ghala Kaha
Mari Zindgaii Ka Jawan Hain Ghum Taray Baad Bi

Tujhe Pass Ahad-e-Wafa Raha Maray Saath Kub?
Mujha Jaan Se Bher Ker Tara Bharam Taray Baad Bi

Maray Baad Kitna Hee Roop Tu Na Badal Liye
Main Wohi Hoon Abb Bi Tari Kasam Taray Baad Bi

Tu Kisi K Qalib-e-Aarzoo Main To Dhal Gaya !
Main Na Ho Saka Kabi Khud Main Zum Taray Baad Bi

Tari Aahatoon Ka Ghudaaz Tha Mara Hum Safar
Yehi Ek Ghumaan Mara Hum Qadam Taray Baad Bi

Tu Chala Gaya Sabhi Qhaqahoon Ko Samait Ker
Maray Pass Hai Mera Zurf-e-Ghum Taray Baad Bi