Safar bhi door ka hai raah aashna bhi nahi
chala udhar hoon ke jis simt ki hawa bhi nahi.
guzar raha hoon khadam rakh ke apni aankhon per
gaye dinon ki taraf mu'dh ke dekha bhi nahi.
mera wajood meri zindagi ki hudd na sahi
kabhi jo tai' hi na ho main woh faaslabhi nahi.
fiza main phail chali meri baat ki khushbu
abhi toh main ne hawaawon se kuch kaha bhi nahi.
hai zindagi teri mehfil mein kis qadar arzaan
rawa hai qatal bhi dastoor-e-khoon baha bhi nahi.
samajh raha hoon muzaffar usey shareek-e-safar
jo mere saath qadam do qadam chala bhi nahi.