Skip to main content

Mohabbat may yeh kya muqaam aa rahe hain

Mohabbat may yeh kya muqaam aa rahe hain
ke manzil pe hain aur chale jaa rahe hain

yeh keh keh ke hum ab dil ko behla rahe hain
woh ab chal chuke hain, woh ab aa rahe hain.

woh az khud hi naadim howe jaa rahe hain
khuda jaane kya kya khayaal aa rahe hain.

hamare hi dil se mazey unke poocho
woh dhokey jo daansta hum kha rahe hain.

jafa karne waalon ko kya ho gaya hai
wafa karke bhi hum toh sharma rahe hain.

woh aalam hai ab yaar-o-aghyaar kaise
hameen apne dushman howe jaa rahe hain.

mizaaj-e-giraami ki ho khair yaarab
kayi din se woh aksar yaad aa rahe hain.


 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.