Kismat hi muqaalif hai faqt ishq apni

Kismat hi muqaalif hai faqt ishq apni
Ne yaar muqaalif hai na aghyaar muqaalif


Kyun waadi-e-wehshat may na khatka rahe mujhko
Her jhaad hai dushman mera her qaar muqaalif


Ho sulah kul aye dil ke sabb uth jaye ladayi
Kaafir na muqaalif ho na deendaar muqaalif


Bargashta zamana zafar aisa howa humse
Jo yaar muwafiq thay woh hain yaar muqaalif