Skip to main content

Dil dhadakne ka sabab yaad aaya

Dil dhadakne ka sabab yaad aaya
Wo teri yaad thi ab yaad aaya

Aaj mushkil tha sambhalna aye dost
Tu museebat may ajab yaad aaya

Din guzra tha badi mushkil se
Phir tera wada-e-shab yaad aaya

Haal-e-dil hum bhi sunaatey laikin
Jab wo rukhsat howa tab yaad aaya

Bayth kar saya-e-gul may naasir
Hum buhat roye wo jab yaad aaya