Dil ki baat labon per laa ker ab tak hum dukh sehtey hain

Dil ki baat labon per laa ker ab tak hum dukh sehtey hain

Hum ne suna tha is basti may dilwaale bhi rehtey hain



Beet gaya saawan ka mahina mausam ne nazrein badlein

Laykin in pyasi aankhon se ab tak aansoon behtey hain



Ek hamein aawara kehna koi bada ilzaam nahi

Dunya waale dil waalon ko aur bahut kuch kehtey hain



Jinn ki khatir shehar bhi chod’ha jinn ke liye badnaam howey

Aaj wohi humse begaaney begaaney se rehtey hain



Woh jo abhi is rah guzar se chaak garaibaan guzra tha

Uss aawara deewane ko jaalib jaalib kehtey hain.