Lagta nahin hai jee mera ujray dayar mein
Kis ki bani hai aalam-e-na-payedar mein
Bulbul ko passbaan se na sayyaad se gila
kismat may qaid likhi thi fasl-e-bahaar
mein
in hasarataun se kehdo kahin aur jaa
basein
Itni jagah kahaan hai dil-i daaghdaar mein
Ek shaaq gull pe baith ke bulbul
kaante bichadetey hain dil-e-lalazaar mein
Umr-i daraaz maang ke laaye they chaar din
Do aarzu mein kat gaye do intezaar mein
Din zindagi ke khatm ho gaye, shaam hogayi
Phaylaake paawon soyein gay kanj mazaar
mein
Hai kitna badd naseeb Zafar dafn ke liye
Do gaz zamiin bhii na milii ku-ye yaar
mein