Zinda rahein toh kya hai, jo marr jaayein hum toh kya

Zinda rahein toh kya hai, jo marr jaayein hum toh kya
Duniya se khamushi se guzar jaayein hum toh kya

Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamney
Ek khwaab hain jahaan may, bikhar jaayein hum toh kya

Ab kaun muntazar hai hamaarey liye wahaan
Shaam aa gayi hai laut ke ghar jaayein hum toh kya

Dil ki khalish toh saath rahe gee tamaam umr
Darya-e-ghum ke paar utar jaayein hum toh kya