Skip to main content

Chaandani kaif_asar Rooh_Afzaa hotee thi,

Chaandani kaif_asar Rooh_Afzaa hotee thi,

Abr Aataa thaa to badmast bhi ho Jaate the.
Din me shorish bhi huaa karati thi Hangaame bhi,
Raat ki godh me munh Dhaanp ke so Jaate the.


Narm Rau Waqt ke dhaare pe Safiine the ravaan,

Saahil-o-Bahr ke Aaiin na badalate the kabhi.
naakhudaaon pe Bharosaa thaa Muqaddar pe yaqeen,
Chaadar-e-Aab se tuufaan na ubalate the kabhi.


Ham ke tuufaanon ke Paale bhi Sataaye bhi hain,

Barq-o-Baaraan me vohi shamen jalaayen kaise.
Ye jo Aatish_kadaa Duniyaa me bhadak Utthaa hai,
Aansuon se use har baar bujhaayen kaise.



kar Diyaa barq-o-bukhaaraat ne mahashar Barpaa,
Apane daftar me litaafat ke sivaa kuchh bhii nahin.
Ghir gaye Waqt ki Beraham kashaakash me magar,
Paas tahazeeb ki Daulat ke siva kuchh bhi nahin.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng