Skip to main content

Kis Liye Ab Udaas Baithi Ho..



Kis Liye Ab Udaas Baithi Ho..

Jab Woh Eik Shakhs Dastaras Main Tha….

Uss Se Milna Tumharay Bus Main Tha……

Uski Aankhain Tumhari Aankhain Thien…

Uski Baatain Tumhari Baatain Thien….

Uska Chehra Tumhara Chehra Tha….

Uskay Dil Par Tumhara Pehra Tha….

Uski Har Saans Main Basi Thien Tum…

Uskay Har Lafz Main Khili Thien Tum…

Uskay Sapnon Main Bhi Rachi Thien Tum….

Uski Neendon Main Jaagti Thien Tum…



Woh Jo Kehta Tha Beqarari Hai…

Meri Saari Wafa Tumhari Hai…

Sirf Tum Se Mujhe Mohabbat Hai…

Sirf Tum Se Meri Haqeeqat Hai…

Kitni Baatain Main Keh Nahi Sakta…

Door Tum Se Main Reh Nahin Sakta…

Tab Tum Uskay Har Eik Jumlay Ko…

Tab Tum Uskay Har Eik Jazbay Ko…

Ek Hansi Main Urraya Karti Thien…

Sun Kay Tum Bhool Jaya Karti Thien….

Uss Ki Aankhon Ko Daikhti Jab Wo…

Woh Be’niyazi Kay Dard Sehta Tha….

Bhool Jana Tumhari Aadat Thi….

Phir Bhi Kitna Malool Rehta Tha….

Apni Tanhaai Kay Galay Lag Kar….

Saray Aansu Woh Roo Gaya Eik Din….

Eik Pat’thar Se Dil Lagi Kar Kay….

Khud Bhi Pat’thar Ka Hogaya Eik Din….

Abb Woh Tumse Tu Kuch Nahin Kehta….

Be’Niyazi Kay Dukh Nahin Sehta…

Uski Aankhain Abb Uski Aankhain Hain…

Uss Ki Baatain Abb Uski Baatain Hain….

Bhool Jana Tumhari Aadat Hai…

Us Ki Baaton Ko Bhool Jaao Na!!!!

Abb Woh Eik Shakhs Dastaras Main Nahin…

Abb Uss Se Milna Tumharay Buss Main Nahin…

Kis Liye Ab Udaas Baithi Ho…???

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng