har goshaa gulistaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa

har goshaa gulistaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa
ek jashn-e-bahaaraa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa

 

naGme.n the havaao.n me.n jaduu thaa fizaao.n me.n
har saa.ns Gazalfaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa

 

dariyaa-e-mohabbat me.n kashtii thii javaanii kii
jazbaat kaa tuufaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa

 

mahataab thaa baaho.n me.n jalve the nigaaho.n me.n
har simt charaaGaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa