Main Bazm-e-Tasavur Mein Usay Laaye Howe Tha

Main Bazm-e-Tasavur Mein Usay Laaye Howe Tha
Jo Saath Na Aane Ki Qasam Khaaye Howe Tha,

Dil Jurm-e-Muhabbat Se Kabhi Na Reh Saka Baaz
Halaanke Bohot Baar Sazaa Paaye Howe Tha,


Hum Chahte The, Koi Sune Baat Humaari
Yeh Shaoq Humen Ghar Se Nikalwaaye Howe Tha,

Hone Na Diya Khud Pe Musallat Usay Maine
Jis Shaks Ko Jee Jaan Se Apnaaye Howe Tha,

Baythe The "Shaoor" Aaj Mere Paas Woh Gumsum
Main Khoye Howe Tha Na Usay Paaye Howe Tha.