Na raastoN ki taraf or na manziloN ki taraf

Na raastoN ki taraf or na manziloN ki taraf
Mera junooN mujhe le aaya wehshatoN ki taraf

MaiN daikhooN paaoN ki zaNjeer, faasiloN ki taraf
Wo daikhay dil ki taraf.. dil ki dhaRkanoN ki taraf

Nazar na aayi kahiN koi roshni ki kiran
MaiN daikhta hi rha baNd khiRkioN ki taraf

MaiN hijratoN maiN juda ho gya qabilay se
maiN ban kay kooNj ab uRtaa hooN baadloN ki taraf

Meri kahaani ko paRhna hay tau kabhi daikho
KhizaaN raseeda daraKhtoN ki tehnioN ki taraf

Wo jis nigaah maiN gehraayi thi samundar ki
MaiN lehr lehr bahaa us kay saahiloN ki taraf

MaiN aks aks sar-e-aaina bikharta tha
So aaj bikhtay huway daikho kirchioN ki taraf

MuhabatoN hi se fursat mujhe nahiN milti
Gumaan jaaye tau kiyuN kar kadooratoN ki taraf

Meri uRaan falak maiN shigaaf kar de gi
Zamin phaiNk de nishtar mere paroN ki taraf

Mujhe tau WARD kay raNgoN ka aks dikhta hay
Jo daikhta hooN maiN khush raNg titlioN ki taraf