Fareb de ke saharon ka tazkera na karo
Dubo ke nao kinaron ka tazkara na karo
Abhi to bat khezan se nahi badhi aage
Abas abhi se baharon ka tazkera na karo
Woh baat raat ki thi ab to raat raat nahi
Sahar me chand sitaron ka tazkera na karo
Jo saaz toot chuka unka zikre kya aye dost
Shikashta saaz ke taaron ka tazkera na karo
Tumhari kaisee guzarti hai chandni raaten
Shabe faraaq ke maron ka tazkera na karo
Khazan ki baat aye tishna khazan ke baat karo
Chaman ke mast nazaron ka tazkera na karo