Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa choor ho gaye

Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa choor ho gaye
Jitne chiraaGh-e-noor the, benoor ho gaye

Maaloom ye huaa ke wo raste ka saath thaa
Manzil qareeb aayii to ham door ho gaye

Manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN
Haalaat ki jafaaoN se majboor ho gaye

Kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat
Kuchh wo bhii apne husn pe maGhroor ho gaye

ChaaraGaroN ki aisii inaayat huvii ''Hafeez''
Jo zakhm bhar chale the wo naasoor ho gaye