bohat betab hai mujh mein koi naghma sarai ko

bohat betab hai mujh mein koi naghma sarai ko
muqaiyad roh ne tan se pukara hai rehai ko

suna hai pyas ka darya humhee serab kar de ga
chalo hum bhi chalein sahil pe qismat aazmai ko

badhata hoon main shakh-e-gul ki janib hath jab apna
koi chupke ke mehkata hai khud apni kalai ko

tumhari hi tarha tum se wafadari nibhain gay
zara tum dekhty jao hamari be wafai ko

dua ko hath uthtay hein to yeh ahsaas hota hai
kesi sajday hi hajat hi nahin hai kibriai ko

bohat kamzoor hein shahoo!tumhare takht ke paye
hatao mat jaga se tum fakiron ki chatai ko