Skip to main content

zulmat hī pahle thī jo havāle meñ rah gai

zulmat hī pahle thī jo havāle meñ rah gai


 zulmat hī pahle thī jo havāle meñ rah gai 

tasvīr-e-kā.enāt ujāle meñ rah gai


āñkhoñ kī hī sharāb thī tauba-shikan zarūr 

kuchh aur bhī mai kī tarah pyāle meñ rah gai

 

kartī hai maut jaise ta.āqub hayāt kā 

titlī girī fazā se to jaale meñ rah gai

 

bad-mazgī-e-sulūk kā gahrā asar huā 

ik kañkarī sī mere nivāle meñ rah gai

 

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.