Skip to main content

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko YaadAate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon MagarJunhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain



Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain



Comments

Popular posts from this blog

Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai

HAZRAT ABBAS (A.S) Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Sab kehne ki baataian hai falaq hai na zameen hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hain Zakhmi hai magar kerbala kitni haseen hai Jannat kahian duniya mein agar hai to yahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Utna he yaqeen hai teri imdad ka muj ko Jitna mujy zehra ki duaoon ka yaqeen Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Kyon medhat-e-abbas mein luqnat hai zaban ko Daikhoo kahian mehfil mein sakina to nahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Kab maskh chedi yaad hai abbas ko lakin Kab kat gae shaane ye unhian yaad nahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Humrah-e-imam ayain gian abbas bhi aik din Is baat ka her toote hue dil ko yaqeen hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen Zakhmi hai magar kerbala kitni haseen hai Jannat kahian duniya mein agar hai to yahian hai

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Talkhion ka zehar dil main bhar gaye bewafa sorj ki harjai kirn

Talkhion ka zehar dil main bhar gaye bewafa sorj ki harjai kirn Mere angan main andhera ker gai bewafa sorj ki harjai kirn Jinay marnay ka irad yaad tha us ko to her aik wada yaad tha Han magar ruswaion se dar gai bewafa sorj ki harjai kirn Khud se akasar pochta rahta hun main her ghari ye sochta rahta hun Muj ko cho ker janay kis k ghar gai bay bewafa sorj ki harjai kirn Dar badr ho ker jidar bhi jayen zindgi se hum kaha mil payen gay Ay hassan apnay liye to mar gai  bay bewafa sorj ki harjai kirn