Skip to main content

Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai

Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai
Jo Kal Sirf Mera Tha Aaj Paraya Kyun Hai
Jiske Taksh Ne Jala Diya Mere Jazbon Ko
Wo Anso Meri Ankh Mai Aya Kyun Hai
Mere Andar To Zabt Ka Pahaar Howa Karta Tha
Phir Ye Shikwa Meri Zuban Par Aya Kyun Hai
Jis Ko Mai Bhool Jane Ka Soch Kar Hi Mar Jaon
Usne Khud Ko Na Mera Keh Kar Daraya Kyun Hai
Tu Jo Ishara Kare To Jaan Bhi Hazir Hai
Meri IS baat Ko Hans Kar Usne tala Kyun Hai

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.