Skip to main content

Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone Do

 
Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone Do
Mai kHud hi Loat Jaongi Mujhe Nakaam Hone Do
Abhi Mujh Ko Nahi Karna Aitraaf e Shikast
Mai Tasleem Karlongi Mujhe Nakaam Hone Do
Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakti
Wafayen Bech Lena Par Zara Nelaam Hone Do
Naye Aghaz Mai Hai Hosla Kyun Tor Bethe Ho
Tum Sab Kuch Jeet Jaogay Zara Anjam Hone Do


Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.