Skip to main content

Umer Se Rattjaga Nahi Jata

Umer Se Rattjaga Nahi Jata
Khawab Ka Silsila Nahi Jata
Gark Hon Ek Hi Baar Is Ghum Mai
Thora Thora Mara Nahi Jata
Chal Nikalta Hon Be Khayali Mai
Jis Taraf Rasta Nahi Jata
Phir Wo Ghum Ankh Se Tapakta Hai
Jo Zuban Se Kaha Nahi Jata
Itna Masroof Hon Muhabbat Mai
Aur Kuch Bhi Kiya Nahi Jata
Admi Jitni Bhi Ozar Karle
Rog Is Hijar Ka Nahi Jata
Tegh Ke Waar Bhi Mai Seh Lon Mohsin
Talkh Lehja Magar Saha Nahi jata

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.