Skip to main content

Aaj Hum Tumko Chalo Saf Bata Dete Hain

Aaj Hum Tumko Chalo Saf Bata Dete Hain
Dil e Gustakh Ka Har Raaz Suna Dete Hain
Shiddat e Dard Ne Mujhe Kya Se Kya Bana Diya
Halat e Zar Tumko Bhi Suna Dete Hain
Khamosh Darya Ki Tarah Behti Rehti Hon
Bewaja Ghum Ke Tufaan Mujhe Saza Kyun Dete Hain
Ankhen Ashkon Se Barh Jayen To
Selaab Ashk Mai Sab Shikayat Baha Dete Hain
Ek Raaz Chupa Hai To Chupa Rehne Do
Unke Samne Hum Siskiyun Mai Bhi Muskura Dete Hain
Aaj Hum Tumko Chalo Saf Bata Dete Hain
Dil e Gustakh Ka Har Raaz Suna Dete Hain

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.